back to index
Kisne kisko kis jubaan se sunani hai Kha chalti Meri maan mani hai, Bas paas khone ko bachi jawaani hai Zindagi ke Sagar mein Kis Surat par khatam hogi Batao nayon ki disha mein Jani hai Tere baade se bagiche mein na podha mere hath hai, nahi- hi phal mere hath, Dhage se bandhe huye Banaya parindon ko udhane ke liye Par Aasman rakha khali hai. Bin jaan, bin matlab ki duniya, kahani kya moordon ko sunani hai. Kab khatam hogi, Dikha laye kisi ko Aakh se tapak ta kyun na tere pani hai. Naachte, nachare teri mehfil main, Malum padha, Taliyon ke hanthon ki awaz ko bhi andhepan ki bimari hai Rakhi hanthon mein na jaan hai, jis khushi ko chunne jayon mein Pal bhar mein tasdik se pehle hath se phisle jati hai. Sirf tere sajde ko gaye hum Kis aur gali na jaaye hum. Na Dil bharta hai, Lakhon par yeh ilzaam hain Ayenneh mein Surat Dekh kabhi Tumhara bhi toh wahi haal hai.
previous